Wo pehli baar tumhara mujhse nazar milana
Muskurake mujhse mere kareeb aana
Aadat ke teh mujhse baar baar takrana
Mazboor the tum apne aasqhiqi mizzaz se
Na samjhe ki muhskil hoga abke waapis jana;
Chori se mere ghar mei aake
Mujhse behki behki baatein karke
Pehli baar mei hi wo ehsaas kara gaye the tum
Ki zindagi ke sabse hasin pehlu se majhoof the hum;
Guzara jab wo pehla lamha tumhari baahon mei
Madhosh hau gaye the hum tumhari saanson mei
Reh gaya tha meri kajal ka ek saboot
Tumhari us safed kameez ke aastin pe
Nahi jane the tum ye mulakaten kya rang layengi
Hum jaan gaye the usi pal ki ye ab na ruk payengi;
Yaad hain hame jab tumne kaha tha
Lagta hai ki tumko humse thoda sa ishq hua tha
Humne bola fir jaane dau hame
Tumne kaha sahi keh rahi hau tum abke
Dur jaane ki har koshish nakaamyaab rahi
Chalte Chalte ye kahani daastan ban gayi;
Saawan ke mausam ki baarish mei bheegna
Tumhara mere peeche peeche daud ke aana
Patjhad ke bikhre paaton mei mohabaatein bunna
Bas tumhari ek nazar ka didaar karna;
Wo chupte chupate raat ke andhere mei tumhe milne aana
Tumhare seene se lagne ka besarbi se intezaar karna
Tumhare hoton ko chuna aur wahin ruk jana
Tumhe apne hoton se amrit ki ghoont pilana;
Tumhare liye us ghar ko sajana
Sirf tumhari har khushi ka khyaal rakhna
Tumhari har umeed pe utarna
Tumhari manzil ko apna raasta chun na
Har din ke ek naye rang mei dhalna
Tumhara humse roothna aur kabhi tumhara hame manana
Ye afsana hamara chalta raha janejana;
Tumhara us kashish ke sath mujhse ishq karna
Sirf meri hau kehke mujhpe wo hak jatana;
Nahi bhoolungi mein wo tere chune ka ehsaas
Karta tha jo mujhe har pal bekraar;
Sapne bunte chale gaye the hum
Un raaton ki khushboo mei lipat gaye the hum
Zindagi ke kis mod pe aa gayi
Sabko bhula ke teri hone ko aa gayi
Aaya wo lamha jab lena tha ek faisla hame
Dil bina soche keh utha
Nahi jeena hame isse juda hoke;
Apni zindagi ke mayine badal diye
Tujhse naata jodne ke liye rishte badal diye
Wo aaina kehta tha mujhse, ye tu kis raaste chali gayi
Duniya ke vasool bhulke apni magan mei hau gayi
Nahi suni un sab ki awaaz jo kehte the ki tum hogi barbaad
Barbaadi nahi ye dil tha mera jiski zubaan pe bas ek naam tha tera;
Mohabbat hau tum meri ye jante the tum
Phir bhi mera har ghadi imtehaan lete gaye tum;
Humne bola alvida tau tum maane nahi
Tumne bola alivda tau dhadkan ruk gayi
Jeene ki chahat wahin beh gayi;
Sameitoge tum kisi aur ko apni baahon mei
Ye sochte hi meri ruh rau gayi
Aarzoo thi hamari tere sang zindagi bitane ki
Justaju ke saaye mei aakhri saans lene ki;
Teri yaad es jism ke har kone mei bas gayi, Wo yaadein aansyuon mei simat ke rehgayi,
Bhulenge na tujhe ye dil janta hai mera, Us kashish ke sath gehra naata hai mera
Dil ki daastan sunate reh gaye, tumne pukaar suni nahi aur zindagi unhi sannaate mei beet gayi.....!!!!!!!!!