Eklauti mein us gharonde ki chiddya thi, apne maiyya babul ki dulari thi
Na samjhi duniya ki kaisi rasme thi, es ghar ki punji, kisi aur ke hisse kyon jaani thi
Bachpan beeta mera gudiya ka ghar banate banate
Chahat thi apna ghar sajaane ki ye ghar ghar khelte khelte
Haldi ki rasam aayi, mili duaayen apno se
Aarmaan sajaliye maine tere sang jeene ke
Phoolon se saja tha mera ghar, chamchamata hua wo jhoomar
Gungunati rahi chupke se, jhoom rahi thi idhar udhar
Aa hi gaya wo din jab dil mei khushi aur nami dono thi
Saajan ke ghar jane ki shayad mujhe bhi jaldi thi
Meri ki har zid puri, Baabul ne kiye kitne jatan
Bittiya ko na hau koi kami, soch kar yahi, lutaya apna sara rattan
Kehte hai kanyadaan hoti hai sabse badi khushi
Phir kyon nikalte hai ma beti ke ankh se bade bade moti
Dil dehalta hai Baabul ka bhi, har us khadi
Par sambhaalta hai khudh ko, jab tak na nikle beti ki doli
Jaate jaate samjhaya meri maiyya ne, bana le us ghar ko bhi apna
Aur jab thaama tune haath mera, bhulaya maine mera angna
Rakha jab teri chaukhat pe wo sehma sa kadam
Kyon yaad aaya mujhe mera bachpan
Anjaano ke beech, dhoondh rahi thi nazre
Kahan gum gaye mere apne, ye kahan aa gaye hum
Raat ke ye taare kuch kyon bolte nahi
Bin apno ke baawri si tham na jaye zindagi
Naya savera hua teri baahon mei, aansoon ruk gaye mere teri chahat mei
Muskura ke kaha maine aaine se, en chehron ko bhi pehchaan le
Yahi tere ab naye rishte hain, sache man se inko jaan le
Jinko apnaane ke liye mein tayaar thi khadi, un sab ki nigahein kyon mujhe begaana kar rahi
Tere yahan sab ko apnaana tha sirf ek hi chehra, par bola mujhse bhool ja rishta tere barso ka
Dil se dil ke taar nahi the abhi joode
Shuru hau gaye daulat ke naam se wo silsile
Socha tha maa ne meri us roz, zindagi meri khushiyon se hai nayi saji
Nibahana hai mujhe har tarah se rishta, ye soch soch mein kyon sab seh gayi
Tune jab kiya tha pehli baar jikr paise ka, Kyon nahi jawaab diya maine teri nasamjhi ka
Kyon aisi fidrat teri ban chali, laalach hi tera raag ban gayi
Roopiye se kab tak karega tu mol mera, ye pooch pooch mein haar gayi
Soch rahi thi gumsum si bethi mein aansuon ki majhdhaar mei
Ghut ghut ke kyon jiyun har din ki takraar mei
Hairat hai, tujhe koi haya nahi, kaayar maange teri kabhi rukti nahi
Shaadi ka wajoot tere liye kuch maaiyne rakhta nahi
Bunne aayi thi rishte pyar se, nahi taula tha maine samaan
Kama sakti hun chaar paise apne dum pe, aakhir kyon sahun ye apmaan
Kyon sahun mein zulm dahej ke naam ka
Kyon dun hisaab mein apne ladki hone ka
Hak hai mera meri saanson pe
Fir kyon rahun ban ke panchi tere pinjre ka
No comments:
Post a Comment