Do dil mile the, sath chalenge ye keh ke chale the
Vaada bhi kar liya, kasme bhi kha li
Na juda honge, ye soch ke chale the
Har pal hasin tha, har baat pe yakin tha
Abhi tau dono mohabbat ke palon ko jeene lage the
Kar liya faisla humne, ghar mei bol uthe
Pakki hui taarikh, milan ki tayaari bhi shuru ki
Dil se nibahyi wo har rasam
Jo socha tha ab tak wo khawaish puri hui
Ab na bitana hoga ek roz bhi ek duje bina
Soch soch yahi, jannat ke khawab leke chale
Har din ki hogi apni ek zindagani
Har raat banegi qayamat ki kahani
Tere khyalon mei ab bhi khoye hue the
Tere aane ke intezaar mei ab bhi doobe huye the
Ye waqt kaisa aaya, tera saaya mujhse bichadne laga
Kuch tum humse kuch hum tumse roothne lage
Doosro ka naam lekar ilzaam lagaane lage
Dil ko tutne se ab tak bachate rahe
Ban rahi thi jo hakikat
Zubaan se use bolne se darte rahe
Fir karni padegi naye mod se shuru ye zindagi
Ye waqt hamare sath kaisi chaal chal gaya
Masoom sa rishta tha tera mera
Kaise rango mei ye dhal gaya
Wafa ke naam pe japte rahe naam tera
Ye tu humse kaisi bewafayi kar gaya
Banke ajnabi kaagaz ke panno pe kar diya faisla humne
Socha na samjha, kar diya ek duje ko dil se alag humne
Azaadi ki khushi hau ya hau berukhi ka jashn
Sehna padega tujhe mujhe ye zindagi bhar ka zakhm
Chuta tera sath us mukaam pe, Jab akele chalna aasaan na tha
Fursat se bitaya wo har pal, bhulana tujhe mumkin na tha
Shayad ye dil anjaane mei tuta, par tu itna bhi nadaan na tha
Dokha dena fitrat nahi thi meri, ae dilnashi, isse bada ilzaam na tha

No comments:
Post a Comment